Posts

Showing posts with the label poems

teri yaad

this poem i wrote while i was in 2nd year of my college, and its a imaginary story, which i tried to pile in some words jalwo main hum uske khoye rehte hai tere aks ko har jagah mehsus karte hai wo tera kohni markar hasna wo tera nange paaon ladkhadakar chalna wo tera bina wajah 'aur kya' kehna wo tera sharma kar mere sine se lag jana rahat ke do pal to na mujhe mile teri judai ke teen din kaise nikle wo lambi skirt pehan kar, use utha kar chalna wo chhoti t-shirt ko baar-baar niche karna wo kisi ke samne hone se man hi man hansna wo najre milne par najre churana bechani ko jo tum itna badaogi humse bachkar kahi nahi ja paogi wo tuition chhod kar mujhse milna wo wo band dukaan main tik kar khade hona wo ghanto tak ek roll kha kar restaurant main baithna wo tissue paper par kahani likhna ret ko haath main lekar kisne baandh paya hai tere mere kisso ko ye waqt kaha tham paya hai wo stand par daudte hue ana wo tracker main rajasthan safari karna wo ...

ei khuda mujhe bhi pyar de

behne lage jo sanso main sheetal kar de Jo armano ko wajah ho Jo hansne ki do pal ko baith ke sochne ki ei khuda mujhe bhi pyar de ei khuda mujhe bhi pyar de Jo khwabo ko mere bhi saja de pal do pal ko mujhe bhi maja de mere dard ko bhi Jo mita de mere jeevan ko Jo rah de ei khuda mujhhe bhi pyar de rasto par Chal le akele lautna kisi safar ko tanha katna kisi couple ko dekh ke Ye sochna aur phir Hans ke nikal jana ei khuda mujhe bhi pyar de pyar ki khushboo ko basaya hai is dil main dard ke sath pyar ko bhi chhupaya hai ei khuda mujhe bhi pyar de ei khuda mujhe bhi pyar de....